koi na harf-e-nawed-o-KHabar kaha us ne
wahi fasana-e-ashufta-tar kaha us ne
shirakat-e-KHas-o-shola hai karobar-e-junun
ziyan-kade mein kis anjam par kaha us ne
use bhi naz-e-ghalat-karda-e-taghaful tha
ki KHwab o KHema-faroshi ko ghar kaha us ne
tamam log jise aasman kahte hain
agar kaha to use baal o par kaha us ne
use ajab tha ghurur-e-shaguft-e-ruKHsari
bahaar-e-gul ko bahut be-hunar kaha us ne
ye gul hain aur ye sitare hain aur ye main hun
bas ek din mujhe talim kar kaha us ne
meri misal thi saffaki-e-tamanna mein
supurdagi mein mujhe qatl kar kaha us ne
main aaftab-e-qayamat tha so tulu hua
hazar matla-e-na-saz-tar kaha us ne
Ghazal
Koi na harf-e-nawed-o-KHabar kaha usne
Afzal Ahmad Syed