اردو हिंदी
Koi na dekhe gunj hawa ki | Shaahi Shayari
koi na dekhe gunj hawa ki

Ghazal

Koi na dekhe gunj hawa ki

Ayub Khawar

;

koi na dekhe gunj hawa ki
nigaran hai ek zat KHuda ki

kho gain chhoTi chhoTi uDanen
phailte shahron mein chiDiya ki

jitne sahra wo sab mere
sona hai miTTi duniya ki

pahle apni tah ko pa le
dekh rawani phir dariya ki

main ne un aankhon ki KHatir
phulon jaisi ek dua ki

un pathrili aankhon mein hai
ek chup chup taswir wafa ki

zat-safar ke lakhon raste
aabla-pai mujh tanha ki

darwaze ki oT se jhanke
yaad tumhaari shakl saba ki

gham andar ka nam hai 'KHawar'
bahar aanch hai tez hawa ki