koi munh chum lega is nahin par
shikan rah jaegi yunhi jabin par
gari thi aaj to bijli hamin par
ye kahiye jhuk paDe wo ham-nashin par
lahu bekas ka maqtal ki zamin par
na daman par na un ki aastin par
balaen ban ke wo aain hamin par
duaen jo gain arsh-e-barin par
ye qismat dagh jis mein dard jis mein
wo dil ho luT dast-e-naznin par
rula kar mujh ko ponchhe ashk-e-dushman
raha dhabba ye un ki aastin par
uDae phirti hai un ko jawani
qadam paDta nahin un ka zamin par
are o charKH dene ke liye dagh
bahut hain chand ke TukDe zamin par
nazakat kosti hai mujh ko kya kya
tabiat aai achchhi naznin par
tamanna-e-asar u chashm-e-hasrat
uTha rakh ab nigah-e-wapsin par
dhari rah jaegi yunhi shab-e-wasl
nahin lab par shikan un ki jabin par
KHuda jaane dikhaegi ye kya rang
duaen jama hain arsh-e-barin par
nigah-e-shauq garam itni ki bijli
na aanch aae kahin us naznin par
mujhe hai KHun ka dawa mujhe hai
unhin par dawar-e-mahshar unhin par
'riyaz' achchhe musalman aap bhi hain
ki dil aaya bhi to kafir hasin par
Ghazal
Koi munh chum lega is nahin par
Riyaz Khairabadi