اردو हिंदी
Koi mujhse KHafa hai is liye KHud se KHafa hun | Shaahi Shayari
koi mujhse KHafa hai is liye KHud se KHafa hun

Ghazal

Koi mujhse KHafa hai is liye KHud se KHafa hun

Navneet Sharma

;

koi mujh se KHafa hai is liye KHud se KHafa hun
ubalte khaulte mausam ke neze par rakha hun

mere andar mera kuchh bhi nahin bas tu hai baqi
tere andar bata pyare main ab kitna bacha hun

meri sanson ki KHamoshi mein kaisa shor kyun main
kai sadiyan guzar jaane pe bhi KHud se KHafa hun

kulhaDi ka mujhe ab Dar nahin aadat hai us ki
gae wo din main kahta tha koi jangal ghana hun

milun KHud se main kyun fursat nahin mujh ko tumhin se
main KHud mein ho ke bhi bas tum mein rahne ki raza hun

sharafat ko miri, kamzoriyan mana sabhi ne
main KHwab-e-amn bunta tha lahu mein san gaya hun

mujhe mujh tak pahunchne mein lagenge janm kitne
zamin se TuT kar chhiTka jazira ho gaya hun

yahi qismat hai un ke KHwab se rahna nadarat
main jaga hun, main jin ki nind mein takiya bana hun

bulate hain mujhe jazbaat, ehsasat mere
mujhe tapna hai main 'nawnit' hone ki saza hun