koi mujh sa mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari nahin
sau maraz hain aur ba-zahir koi bimari nahin
har qadam par bagh-e-alam mein bichha hai dam-e-husn
kaun aisa hai jise zauq-e-giraftari nahin
dekhe gar ghaur se duniya hai ghaflat ka tilism
ye bhi KHwab-e-ishq hai furqat se bedari nahin
jaan le kar bhi jo hath aae to arzan jaaniye
sahal aisi jins-e-ulfat ki KHaridari nahin
ishq ki nakaamiyon ne is qadar khincha hai tul
mere gham-KHwaron ko ab yara-e-gham-KHwari nahin
mujh se zabt-e-dard-e-ulfat ki shikayat hai fuzul
ai dil-e-nadan tujhe ehsas-e-KHud-dari nahin
meri daulat dekh kar kyun tum ne ThanDi sans li
be-kason par rasm-e-ain-e-sitamgari nahin
har taraf se ye sada aati hai mulk-e-husn mein
ye wo duniya hai jahan rasm-e-wafadari nahin
ho gaya shayad ki sarf-e-soz-e-gham sab KHun-e-dil
aansuon ka ab wo dariya aankh se jari nahin
us ko rahm aae kahan ye na-umidi mein umid
dil ko KHush karna hai shaghl-e-girya-o-zari nahin
hum hain chup baiThe hue lekin hai dil masruf-e-ishq
is adim-ul-fursati ka nam bekari nahin
band aaankhon se nazar aati hai har shai dahr ki
aalam-e-ruya mein farq-e-KHwab-o-bedari nahin
Ghazal
Koi mujh sa mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari nahin
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi