koi mila to kisi aur ki kami hui hai
so dil ne be-talabi iKHtiyar ki hui hai
jahan se dil ki taraf zindagi utarti thi
nigah ab bhi usi baam par jami hui hai
hai intizar use bhi tumhaari KHush-bu ka
hawa gali mein bahut der se ruki hui hai
tum aa gae ho to ab aaina bhi dekhenge
abhi abhi to nigahon mein raushni hui hai
hamara ilm to marhun-e-lauh-e-dil hai miyan
kitab-e-aql to bas taq par dhari hui hai
banao sae hararat badan mein jazb karo
ki dhup sehan mein kab se yunhi paDi hui hai
nahin nahin main bahut KHush raha hun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
wo guftugu jo meri sirf apne-ap se thi
teri nigah ko pahunchi to shairi hui hai
Ghazal
Koi mila to kisi aur ki kami hui hai
Irfan Sattar