اردو हिंदी
Koi mausam na kabhi kar saka shadab hamein | Shaahi Shayari
koi mausam na kabhi kar saka shadab hamein

Ghazal

Koi mausam na kabhi kar saka shadab hamein

Alam Khursheed

;

koi mausam na kabhi kar saka shadab hamein
shahr mein jine ke aae nahin aadab hamein

bahte dariya mein koi aks Thaharta hi nahin
yaad aata hai bahut ganw ka talab hamein

is tarah pyas bujhai hai kahan dariya ne
ek qatre ne kiya jis tarah sairab hamein

jhilmili raushni har-samt nazar aati hai
khinchti hai koi qindil tah-e-ab hamein

kya pata kaun se janmon ka hai rishta apna
DhunD hi lete hain har bahr mein girdab hamein

din ulaT deta hai har KHwab ki tabir magar
raat dikhlati hai phir koi naya KHwab hamein

be-aman hum jo hue hain to hamein yaad aaya
rose dete the sada mimbar-o-mehrab hamein

kash malum ye pahle hamein hota 'alam'
dekhna chahta tha wo bhi zafar-yab hamein