اردو हिंदी
Koi mausam ho kuchh bhi ho safar karna hi paDta hai | Shaahi Shayari
koi mausam ho kuchh bhi ho safar karna hi paDta hai

Ghazal

Koi mausam ho kuchh bhi ho safar karna hi paDta hai

Farrukh Jafari

;

koi mausam ho kuchh bhi ho safar karna hi paDta hai
idhar se bojh kandhe ka udhar karna hi paDta hai

kahan jate hain kya karte hain kis ke sath rahte hain
hamein apna taaqub umr bhar karna hi paDta hai

wo apne tan pe sah kar ho ki apni jaan par phir bhi
hamein ek marka har roz sar karna hi paDta hai

khula rakkhen na rakkhen ghar ka darwaza magar 'farruKH'
safar aankhon ko ta-hadd-e-nazar karna hi paDta hai