koi mausam bhi hum ko ras nahin
wo nahin hai to kuchh bhi pas nahin
ek muddat se dil ke pas hai wo
ek muddat se dil udas nahin
jab se dekha hai sham aankhon mein
tab se qaem mere hawas nahin
mere lahje mein us ki KHushbu hai
us ki baaton mein meri bas nahin
jitna shaffaf hai tera aanchal
itna ujla mera libas nahin
samne mere ek dariya hai
honT sukhe hain phir bhi pyas nahin
jis ko chaha hai jaan-o-dil se 'hasan'
jaane wo kyun nazar-shanas nahin
Ghazal
Koi mausam bhi hum ko ras nahin
Hasan Rizvi