koi markaz se alag hai koi mehwar se alag
aadmi KHud ho gaya hai apne paikar se alag
kitne KHanon mein baTa hai ahd-e-nau ka aadmi
koi bahar se juda hai koi andar se alag
be-libasi ke siwa ab kuchh nazar aata nahin
is qadar hai jism KHuddari ki chadar se alag
dagh-e-dil kashmir ka gujraat ka dil dardnak
hadisa koi kahan hai chhe december se alag
band thin almariyon mein chahaton ki filen
kis ne ki 'aKHtar' ye dastawez daftar se alag
Ghazal
Koi markaz se alag hai koi mehwar se alag
Kalim Akhtar