اردو हिंदी
Koi maqam nahin hadd-e-eatibar ke baad | Shaahi Shayari
koi maqam nahin hadd-e-eatibar ke baad

Ghazal

Koi maqam nahin hadd-e-eatibar ke baad

Saif Bijnori

;

koi maqam nahin hadd-e-eatibar ke baad
kahan main sajda karun aastan-e-yar ke baad

uThun to jaun kahan ja-e-pur-bahaar ke baad
kahin panah nahin un ki rahguzar ke baad

kahan ka azm hai ai dil husul-e-kar ke baad
ab aur bhi koi kaba hai ku-e-yar ke baad

tabah hum hue bim-o-raja mein aaKHir-e-kar
kuchh intizar se pahle kuchh intizar ke baad

gila nahin hai jafa ka magar sawal ye hai
sataenge kise phir aap jaan-nisar ke baad

kise KHabar hai ki guzregi is asir pe kya
qafas mile jise rangini-e-bahaar ke baad

sahar ke hote hi ruKHsat hua mariz-e-firaq
jahan mein kaam hi kya tha ab intizar ke baad

kisi se mashwara-e-tark-e-ishq 'saif' na kar
na sun kisi ki dil aazmuda-kar ke baad