اردو हिंदी
Koi maqam-e-sukun raste mein aaya nahin | Shaahi Shayari
koi maqam-e-sukun raste mein aaya nahin

Ghazal

Koi maqam-e-sukun raste mein aaya nahin

Qateel Shifai

;

koi maqam-e-sukun raste mein aaya nahin
hazar peD hain lekin kahin bhi saya nahin

kise pukare koi aahaTon ke sahra mein
yahan kabhi koi chehra nazar to aaya nahin

bhaTak rahe hain abhi tak musafiran-e-visal
tere jamal ne koi diya jalaya nahin

bikhar gaya hai KHala mein kiran karan ho kar
wo chand jo kisi pahlu mein jagmagaya nahin

taras gai hai zamin baadalon ki surat ko
kisi nadi ne koi git gungunaya nahin

ujaD gaya tha kisi zalzale mein shahr-e-wafa
na jaane phir use hum ne bhi kyun basaya nahin

'qatil' kaise kaTegi ye dopahar gham ki
mere nasib mein un gesuon ka saya nahin