koi manzil bhi nahin hai koi rasta bhi nahin
aur sab mahw-e-safar hain koi rukta bhi nahin
har taraf be-rang si gahri udasi ka jamaw
ek rangin KHwab jo nazron se haTta bhi nahin
kis tarah thame hue hain KHud ko us basti ke log
koi mutawazin nahin hai aur phisalta bhi nahin
ek musalsal si ye sai-e-raigan ye kawishen
ek patthar sa ye manzar jo pighalta bhi nahin
be-sabab si Tis dil mein mustaqil hoti hui
jazba-e-bebak jo dil mein utarta bhi nahin
har taraf ye dhup har-dam tez-tar hoti hui
mom ka ek shahr lekin jo pighalta bhi nahin

Ghazal
Koi manzil bhi nahin hai koi rasta bhi nahin
Balbir Rathi