اردو हिंदी
Koi makin bhi na tha us makan se lauTa hun | Shaahi Shayari
koi makin bhi na tha us makan se lauTa hun

Ghazal

Koi makin bhi na tha us makan se lauTa hun

Fani Jodhpuri

;

koi makin bhi na tha us makan se lauTa hun
KHuda hi jaanta hai main kahan se lauTa hun

hayat guzri thi kirdar jis ke gaDhne mein
zalil ho ke usi dastan se lauTa hun

na koi naqsh nazar mein na dhul kapDon pe
samajh mein kuchh nahin aata kahan se lauTa hun

jahan pe aa ke mukammal hue wajud tamam
adhura ho ki akela wahan se lauTa hun

wo KHushbuen to mere tak mein hi thin raqsan
talash kar ki jinhen gulistan se lauTa hun

zamin walon zamin ki na dastan puchho
guzishta raat hi main aasman se lauTa hun

jahan pe 'fani' ko fani banaya jata hai
main ab ke bar usi aastan se lauTa hun