koi majnun koi farhad bana phirta hai
ishq mein har koi ustad bana phirta hai
jis se tabir ki ek inT uThai na gai
KHwab ke shahr ki buniyaad bana phirta hai
pahle kuchh log parindon ke shikari the yahan
ab to har aadmi sayyaad bana phirta hai
dhup mein itni suhulat bhi ghanimat hai mujhe
ek saya mera ham-zad bana phirta hai
bagh mein aisi hawaon ka chalan aam hua
phul sa hath bhi faulad bana phirta hai
naqsh-bar-ab to hum dekhte aae lekin
naqsh ye kaun sa barbaad bana phirta hai
Ghazal
Koi majnun koi farhad bana phirta hai
Imran Aami