koi mai de ya na de hum rind-e-be-parwa hain aap
saqiya apni baghal mein shisha-e-sahba hain aap
ghafil o hoshyar wo timsal-e-yak-aina hain
warta-e-hairat mein nadan aap hain dana hain aap
kyun rahe meri dua minnat-kash-e-baal-e-malak
nala-e-mastana mere aasman-paima hain aap
hai tajjub KHizr ko aur aab-e-haiwan ki talab
aur phir uzlat-guzin-e-daman-e-sahra hain aap
manzil-e-tul-e-amal darpesh aur mohlat hai kam
rah kis se puchhiye hairat mein naqsh-e-pa hain aap
haq se talib did ke hon hum basir aise nahin
hum ko jo kotah-nazar samjhen wo na-bina hain aap
gul hama-tan-zaKHm hain phir bhi hama-tan-gosh hain
be-asar kuchh nala-ha-e-bulbul-e-shaida hain aap
hirs se shikwa karun kya hath phailane ka main
kahti hai wo apne hathon KHalq mein ruswa hain aap
hum se ai ahl-e-tanaum munh chhupana chahiye
dam bhara karte hain hum aur aaina-sima hain aap
Ghazal
Koi mai de ya na de hum rind-e-be-parwa hain aap
Nazm tabaa-tabaa.ii