koi mahrum-e-mohabbat na raha mere baad
rang lai meri tasir-e-dua mere baad
aaj isa ki tarah dar pe khinche hai mujhe
mujh pe roegi ye maKHluq-e-KHuda mere baad
mere miTne se hue goya qafas se aazad
na raha koi giraftar-e-bala mere baad
aisi ruThi hai mashiyyat se teri rabb-e-karim
phir chaman mein na gai baad-e-saba mere baad
fatiha ke liye aaya tha wo hamrah raqib
KHub di us ne mohabbat ki saza mere baad
subh-dam aati hai is soKHta-samani mein
bagh se nala-e-bulbul ki sada mere baad
meri jaanib se koi ja ke kahe majnun se
KHak-e-sahra-e-tamanna na uDa mere baad
us ne ahbab se puchha hai mere ghar ka pata
yaad aaya use paiman-e-wafa mere baad
wo jo likkha tha kabhi KHun-e-jigar se main ne
miTta jata hai wahi naqsh-e-wafa mere baad
tujh pe ilzam-e-mohabbat na laga de duniya
aa ke turbat pe yun aansu na baha mere baad
ranj to ye hai 'muzaffar' ki wo paiman-shikan
lab pe laya na kabhi harf-e-dua mere baad

Ghazal
Koi mahrum-e-mohabbat na raha mere baad
Muzaffar Ahmad Muzaffar