koi mahbub sitamgar bhi to ho sakta hai
phul ke hath mein KHanjar bhi to ho sakta hai
ek muddat se jise log KHuda kahte hain
chhu ke dekho ki wo patthar bhi to ho sakta hai
mujh ko aawargi-e-ishq ka ilzam na do
koi is shahr mein be-ghar bhi to ho sakta hai
kaise mumkin ki use jaan ke barabar samjhun
wo meri jaan se baDh kar bhi to ho sakta hai
sirf sawan to nahin aag lagane wala
june ki tarah december bhi to ho sakta hai
chaak-daman se mere mujh ko bura mat samjho
koi yusuf sa payambar bhi to ho sakta hai
sirf chehron pe latafat koi mauquf nahin
chand jaisa koi patthar bhi to ho sakta hai
tum sar-e-rah mile the to kabhi phir se milo
hadisa shahr mein aksar bhi to ho sakta hai
sara ilzam-e-jafa us pe kahan tak rakhkhun
ye mera apna muqaddar bhi to ho sakta hai
kya zaruri hai ki hum sar ko jhukaen 'zaKHmi'
ek sajda mere andar bhi to ho sakta hai
Ghazal
Koi mahbub sitamgar bhi to ho sakta hai
Siraj Alam Zakhmi