koi le zor ki chuTki to hai inkar poshida
koi chupke se chuTki le to hai iqrar chuTki mein
ek apne waste hai dusra jis se wo haarenge
wo le kar ghumte hain aaj kal do haar chuTki mein
hina-alud chuTki dekh kar mahsus hota hai
kisi ne jaise bhar di ho koi gulnar chuTki mein
wo chuTki le ke deta hai mohabbat sirf chuTki bhar
maza jab tha ki muTThi bhar ke deta pyar chuTki mein
wo chuTki bhar ke kahte hain sunao chuTkula koi
main chuTki le ke kahta hun suno ashaar chuTki mein
ye chuTki ki karamat hai ki bas chuTki bajate hain
humak kar aane lagta hai KHayal-e-yar chuTki mein
Ghazal
Koi le zor ki chuTki to hai inkar poshida
Ameerul Islam Hashmi