koi kuchh bhi kahta rahe sab KHamoshi se sun leta hai
us ne bhi ab gahri gahri sansen lena sikh liya hai
pichhe haTna to chaha tha par aise bhi nahin chaha tha
apni taraf baDhne ke liye bhi us ki taraf chalna paDta hai
jab tak ho aur jaise bhi ho dur raho us ki nazron se
itna purana hai ki ye rishta phir se naya bhi ho sakta hai
jaise sab tufan meri sanson se bandhe hon mujh mein chhupe hon
dil mein kisi Dar ke aate hi zor hawa ka baDh jata hai
main to fasurda hun hi lekin ashk raqib ki aankh mein bhi hain
ek mahaz pe haare hain hum ye rishta kya kam rishta hai
rang mein hain sare ghar wale khanak rahe hain chae ke pyale
duniya jag chuki hai lekin apna sawera nahin hua hai

Ghazal
Koi kuchh bhi kahta rahe sab KHamoshi se sun leta hai
Shariq Kaifi