اردو हिंदी
Koi kinaya kahin aur baat karte hue | Shaahi Shayari
koi kinaya kahin aur baat karte hue

Ghazal

Koi kinaya kahin aur baat karte hue

Zafar Iqbal

;

koi kinaya kahin aur baat karte hue
koi ishaara zara dur se guzarte hue

mere lahu ki lapak mein rahe wo hath wo panw
kuchh aaine se kahin Dubte ubharte hue

sharar-e-bosa hi us sang-e-lab se ho paida
ki mere sar mein kai lafz hain ThiThurte hue

na saKHt-gir tha wo aur na main hi be-himmat
par us ko hath lagaya hai aaj Darte hue

jalaenge nam-e-sahil pe kashtiyan apni
is aab-zar-e-tamasha mein panw dharte hue

guzar hi jaegi sar se kahin to mauj-e-hawas
kabhi to sharm use aaegi mukarte hue

hawas mein hain kahin KHauf ke nasheb o faraaz
jo KHud se bhagta hun rah mein Thaharte hue

ye kaam aur to ab kaun hi karega yahan
sameTta bhi rahun jism ko bikharte hue

mujhe to ranj tha sab se kahin ziyaada 'zafar'
jo dekh leta meri samt bhi wo marte hue