koi KHwab tha jo bikhar gaya koi dard tha jo Thahar gaya
magar is ka koi bhi gham nahin jo guzar gaya so guzar gaya
ye dil-o-nazar ka moamla bhi bahut ajib-o-gharib hai
kabhi in labon pe hansi rahi kabhi ashk aankh mein bhar gaya
main zaban se kuchh bhi na kah saka wo nazar se kuchh na samajh saka
na mere hi dil se jhijak gai na to us ke dil se hi Dar gaya
kabhi tujh se bhi na sambhal saka kabhi mujh se bhi na sambhal saka
tera aaina bhi bikhar gaya mera aaina bhi bikhar gaya
tujhe hoga us ka malal kya mujhe hoga us ka KHayal kya
tere husn se bhi kashish gai mere ishq se bhi asar gaya
wo hasin chehron ki bhiD thi ki nazar bhaTakti hi rah gai
teri justuju ka nasha tha jo kisi moD par wo utar gaya
ye jo rang-e-fikr-o-KHayal hai ye teri nazar ka kamal hai
tera husn tha koi aaina jise dekh kar main sanwar gaya

Ghazal
Koi KHwab tha jo bikhar gaya koi dard tha jo Thahar gaya
Rizwanur Raza Rizwan