koi KHushi na koi ranj mustaqil hoga
fana ke rang se har rang muttasil hoga
ajab hai ishq ajab-tar hain KHwahishen is ki
kabhi kabhi to bichhaDne talak ko dil hoga
badan mein ho to gila kya tamash-bini ka
yahan to rose tamasha-o-ab-o-gil hoga
abhi to aur bhi chehre tumhein pukarenge
abhi wo aur bhi chehron mein muntaqil hoga
ziyan mazid hai asbab DhunDhte rahna
hua hai jo wo na hone pe mushtamil hoga
tamam-raat bhaTakta phira hai saDkon par
hui hai subh abhi shahr muzmahil hoga
Ghazal
Koi KHushi na koi ranj mustaqil hoga
Ameer Imam

