koi KHushbu na phul hun main to
sar se pa tak babul hun main to
teri dargah se gila kaisa
KHud ko bhi kab qubul hun main to
chandni mujh ko sajde karti hai
tere qadmon ki dhul hun main to
jaane mujh se bichhaD gaya hai kaun
har janam mein malul hun main to
tifl-e-dil ki dua likhe jis ko
us ghazal ka school hun main to
kyun dikhate ho mujh ko talwaren
lajwanti ka phul hun main to
zaKHm khata hun shukr karta hun
han KHilafat usul hun main to
'ashk' is karobari duniya mein
aadmi ek fuzul hun main to
Ghazal
Koi KHushbu na phul hun main to
Parveen Kumar Ashk