اردو हिंदी
Koi kamar ko teri kuchh jo ho kamar to kahe | Shaahi Shayari
koi kamar ko teri kuchh jo ho kamar to kahe

Ghazal

Koi kamar ko teri kuchh jo ho kamar to kahe

Sheikh Ibrahim Zauq

;

koi kamar ko teri kuchh jo ho kamar to kahe
ki aadmi jo kahe baat soch kar to kahe

meri haqiqat-e-pur-dard ko kabhi us se
ba-ah-o-nala na kahwe ba-chashm-e-tar to kahe

ye aarzu hai jahannam ko bhi ki aatish-e-ishq
mujhe na shola gar apna kahe sharar to kahe

ba-qadr-e-maya nahin gar har ek ka rutba o nam
to han habab ko dekhen koi guhar to kahe

kahe jo kuchh mujhe naseh nahin wo diwana
ki jaanta hai kahe ka ho kuchh asar to kahe

jal uTThe shama ke manind qissa-KHwan ki zaban
hamara qissa-e-pur-soz lahza bhar to kahe

sada hai KHun mein bhi mansur ke anal-haq ki
kahe agar koi tauhid is qadar to kahe

majal hai ki tere aage fitna dam mare
kahega aur to kya pahle al-hazar to kahe

bane bala se mera murgh-e-nama-bar bhanwra
ki us ko dekh ke wo munh se KHush-KHabar to kahe

har ek sher mein mazmun-e-girya hai mere
meri tarah se koi 'zauq' sher-e-tar to kahe