koi kafir hamein samjhe ki musalman samjhe
hum to ai ishq tujhe hasil-e-iman samjhe
lakhon masle hue ghunche nahin dekhe hum ne
chand hanste hue phulon ko gulistan samjhe
KHud-ba-KHud waqt pe ho jate hain saman kyunkar
kuchh jo samjhe to hamein be-sar-o-saman samjhe
dawat-e-am hai ek rah-e-wafa hai main hun
wo mere sath chala aae jo aasan samjhe
baghban ki mere sahab-nazari kya kahna
phul gulshan pe hanse aap bahaaran samjhe
hans ke mil lete hain ahbab yahi kafi hai
kis ko fursat ki kisi ka gham-e-pinhan samjhe
ghuncha-o-gul ke tabassum ki haqiqat kya hai
pahle kanTon se guzar jae to insan samjhe
wo zamane mein KHushi pa nahin sakte 'shaarib'
aansuon ko jo ilaj-e-gham-e-dauran samjhe

Ghazal
Koi kafir hamein samjhe ki musalman samjhe
Sharib Lakhnavi