koi jahan mein na yarab ho mubtala-e-firaq
kisi ki jaan ki dushman na ho bala-e-firaq
hazar tarah ke sadme ise gawara hain
magar uTha nahin sakta hai dil ja-e-firaq
labon pe jaan hai ab sadma-ha-e-duri se
KHabar visal ki deti hai ibtida-e-firaq
zaban band hai ye josh-e-gham ka aalam hai
bayan ho nahin sakta hai majra-e-firaq
karen jo zabt kaleja sarahiye un ka
ki aasman ko bulate hain nala-ha-e-firaq
juda 'hafiz' hua kaun tere pahlu se
labon par aaTh-pahr hai jo hae hae firaq
Ghazal
Koi jahan mein na yarab ho mubtala-e-firaq
Hafeez Jaunpuri