اردو हिंदी
Koi jab mil ke muskuraya tha | Shaahi Shayari
koi jab mil ke muskuraya tha

Ghazal

Koi jab mil ke muskuraya tha

Farah iqbal

;

koi jab mil ke muskuraya tha
aks-e-gul ka jabin pe saya tha

zaKHm-e-dil ki jalan bhi kam thi bahut
git aisa saba ne gaya tha

shab khuli thi bahaar ki surat
din sitaron sa jagmagaya tha

aise sargoshiyan thin kanon mein
koi amrit ka jam laya tha

KHwab konpal bhi thi tar-o-taza
aarzu ne bhi sar uThaya tha

jis ne mashur kar diya tha 'farah'
ek jadu sa ek chhaya tha