koi ishaara koi istiara kyunkar ho
ab aasman-e-suKHan par sitara kyunkar ho
ab us ke rang mein hai besh-tar taghaful sa
ab us se taur-shanasi ka chaara kyunkar ho
wo sach se KHush na agar ho to jhuT bolenge
ki wo jo ruThe to apna guzara kyunkar ho
unhen ye fikr ki dil ko kahan chhupa rakkhen
hamein ye shauq ki dil ka KHasara kyunkar ho
uruj kaise ho zauq-e-junun ko ab 'aslam'
sukun ka aaina ab para para kyunkar ho
Ghazal
Koi ishaara koi istiara kyunkar ho
Aslam Emadi