اردو हिंदी
Koi in tang-dahanon se mohabbat na kare | Shaahi Shayari
koi in tang-dahanon se mohabbat na kare

Ghazal

Koi in tang-dahanon se mohabbat na kare

Sheikh Ibrahim Zauq

;

koi in tang-dahanon se mohabbat na kare
aur jo ye tang karen munh se shikayat na kare

ishq ke dagh ko dil mohr-e-nabuwwat samjha
Dar hai kafir kahin dawa-e-nabuwat na kare

hai jarahat ka meri sauda-e-almas ilaj
faeda us ko kabhi sang-e-jarahat na kare

har qadam par mere ashkon se rawan hai dariya
kya kare jada agar tark-e-rifaqat na kare

aaj tak KHun se mere tar hai zaban-e-KHanjar
kya kare jab ki talab koi shahadat na kare

hai ye insan baDe ustad ka shagird-e-rashid
kar sake kaun agar ye bhi KHilafat na kare

bin jale shama ke parwana nahin jal sakta
kya baDhe ishq agar husn hi sabqat na kare

phir chala maqtal-e-ushshaq ki jaanib qatil
sar pe barpa kahin kushton ke qayamat na kare