koi imkan to na tha us ka magar chahta tha
kab se koi kisi diwar mein dar chahta tha
zabt ke peD ne gul aur khilae ab ke
aur hi tarz ka ye dil to samar chahta tha
aaKHiri manzil-e-taskin-e-dil-o-jaan talak
manzilen rah na kaTen ye safar chahta tha
chand lamhon ke liye jaD ko wo sairab kare
aur shitabi se nikal aae samar chahta tha
kitna kam-fahm tha koi ki jala kar un ko
zindagi par mere KHwabon ka asar chahta tha
ye alag baat ki teshe se shanasai na thi
warna jaan koi tujh pe magar chahta tha
hijr ehsas ko shal bhi to kiye rahta hai
asar us ka koi ba-rang-e-digar chahta tha
us ko sayon ke taaqub mein likha tha rahna
dard aangan mein ghana ek shajar chahta tha
ek gahri si nazar rauzan-e-dil ke andar
dasht-e-ehsas kahan shams o qamar chahta tha
aandhiyan dosh pe le kar wo uDa phirta ho
aur salamat bhi rahe kanch-nagar chahta tha
Ghazal
Koi imkan to na tha us ka magar chahta tha
Saima Esma