koi hindu koi muslim koi isai hai
sab ne insan na banne ki qasam khai hai
itni KHub KHar na thin pahle ibaadat gahen
ye aqide hain ki insan ki tanhai hai
tin chauthai se zaid hain jo aabaadi mein
un ke hi waste har bhuk hai mahngai hai
dekhe kab talak baqi rahe saj-dhaj us ki
aaj jis chehra se taswir utarwai hai
ab nazar aata nahin kuchh bhi dukanon ke siwa
ab na baadal hain na chiDiyan hain na purwai hai
Ghazal
Koi hindu koi muslim koi isai hai
Nida Fazli