koi hasin manzar aankhon se jab ojhal ho jaega
mujh ko pagal kahne wala KHud hi pagal ho jaega
palkon pe us ki jale bujhenge jugnu jab meri yaadon ke
kamre mein hongi barsaten ghar jangal ho jaega
jis din us ki zulfen us ke shanon par khul jaengi
us din sharm se pani pani KHud baadal ho jaega
jab bhi wo pakiza daman aa jaega hath mere
aankhon ka ye mela pani ganga-jal ho jaega
us ki yaaden us ki baaten us ki wafaen us ka pyar
kis ko KHabar thi jina mushkil ek ek pal ho jaega
mat ghabra ai pyase dariya suraj aane wala hai
barf pahaDon se pighli to jal hi jal ho jaega
Ghazal
Koi hasin manzar aankhon se jab ojhal ho jaega
Tahir Faraz