اردو हिंदी
Koi hasin hai muKHtar-e-kar-KHana-e-ishq | Shaahi Shayari
koi hasin hai muKHtar-e-kar-KHana-e-ishq

Ghazal

Koi hasin hai muKHtar-e-kar-KHana-e-ishq

Ahmad Husain Mail

;

koi hasin hai muKHtar-e-kar-KHana-e-ishq
ki la-makan hi ki chaukhaT hai aastana-e-ishq

nigahen DhunDh rahi hain dil-e-yagana-e-ishq
ishaare puchh rahe hain kahan hai KHana-e-ishq

phirenge hashr mein gard-e-dil-e-yagana-e-ishq
karenge pesh-e-KHuda hum tawaf-e-KHana-e-ishq

nai sada ho nae honTh hon naya lahja
nai zaban se kahun gar kahun fasana-e-ishq

jo maulwi hain wo likkhenge kufr ke fatwe
sunaun surat-e-mansur agar tarana-e-ishq

agar lage to lage choT mere nale ki
agar paDe to paDe dil pe taziyana-e-ishq

jo Dal den use patthar pe bhi phale-phule
daraKHt-e-tur bane sabz ho ke dana-e-ishq

tumhin kaho jo luTa den to kaun KHali ho
KHazana husn ka afzun hai ya KHazana-e-ishq

wo raat aae ki sar tera le ke bazu par
tujhe sulaun bayan kar ke main fasana-e-ishq

wo dar tak aate nahin dar se hum nahin uThte
udhar bahana-e-husn aur idhar bahana-e-ishq

sikhai kis ne ye raftar mere nale ko
kamar ki tarah lachakta hai taziyana-e-ishq

kisi ko pyar karega shabab mein tu bhi
tere bhi ghar mein jalega charagh-e-KHana-e-ishq

jo KHush-nawis mile koi denge dil apna
hum is kitab mein likhwaenge fasana-e-ishq

gae hain wo meri mahfil mein bhul kar rumal
ye ja-namaz bichha kar paDhun dogana-e-ishq

kisi ke husn ne kafir bana diya 'mail'
laga ke qashqa-e-durd-e-sharab-KHana-e-ishq