koi hamrah nahin rah ki mushkil ke siwa
hasil-e-umr bhi kya hai gham-e-hasil ke siwa
ek sannaTa musallat tha guzargahon par
zindagi thi bhi kahan kucha-e-qatil ke siwa
har qadam hadse har gam marahil the yahan
apne qadmon mein har ek shai rahi manzil ke siwa
tha misali jo zamane mein samundar ka sukut
kaun tufan uThata raha sahil ke siwa
apne markaz se har ek chiz gurezan nikli
laila har bazm mein thi KHalwat-e-mahmil ke siwa
apni rahon mein to KHud boe hain kanTe us ne
dushman-e-dil ki nahin aur koi dil ke siwa
apni taqdir tha barbaad-e-mohabbat hona
mahfilen aur bhi thin aap ki mahfil ke siwa
Ghazal
Koi hamrah nahin rah ki mushkil ke siwa
Ghani Ejaz