koi hamdard na hamdam na yagana apna
ru-ba-ru kis ke kahen hum ye fasana apna
na kisu jaib ke hain phul na daman ke hain KHar
kis liye tha chaman-e-dahr mein aana apna
faeda kya jo hue sheKH-e-haram rahib-e-dair
na hua dil mein kisi ke jo Thikana apna
hai hazaron dil-e-pur-KHun ko yahan pech pe pech
dekhiyo turra-e-mushkin na milana apna
Ghazal
Koi hamdard na hamdam na yagana apna
Mamnoon Nizamuddin