اردو हिंदी
Koi had nahin hai kamal ki | Shaahi Shayari
koi had nahin hai kamal ki

Ghazal

Koi had nahin hai kamal ki

Muneer Niyazi

;

koi had nahin hai kamal ki
koi had nahin hai jamal ki

wahi qurb o dur ki manzilen
wahi sham KHwab-o-KHayal ki

na mujhe hi us ka pata koi
na use KHabar mere haal ki

ye jawab meri sada ka hai
ki sada hai us ke sawal ki

ye namaz-e-asr ka waqt hai
ye ghaDi hai din ke zawal ki

wo qayamaten jo guzar gain
thin amanaten kai sal ki

hai 'munir' teri nigah mein
koi baat gahre malal ki