koi gulab kabhi us ka dil dukhaya tha
so regzar pe bhi wahshaton ka saya tha
utar ke shaKH se ek ek zard patte ne
nai ruton ke liye rasta banaya tha
wo shaKH-e-saya-e-iKHlas kaT gai ek roz
tapish se jis ne mujhe umr bhar bachaya tha
shajar shajar ko nishana banane walo tumhein
KHayal bhi na kisi ghonsle ka aaya tha
kisi KHayal kisi KHwab ke liye 'KHurshid'
diya dariche mein rakkha tha dil jalaya tha
Ghazal
Koi gulab kabhi us ka dil dukhaya tha
Khurshid Rabbani