koi ghazal ho ye lahja nahin badalte hum
ki sach ho kitna bhi kaDwa nahin badalte hum
kisi gali se ye rishta nahin badalte hum
tumhaare baad bhi rasta nahin badalte hum
khuli kitab ke jaisi hai zindagi apni
kisi ke samne chehra nahin badalte hum
lahuluhan hon nazren ya ruh ho zaKHmi
hamari aankhon ka sapna nahin badalte hum
tamam umr hi ab kyun na KHatm ho jae
tumhaare pyar ka qissa nahin badalte hum
jo jaisa hai use waisa hi hum ne chaha hai
mohabbaton mein ye sikka nahin badalte hum
wafa ki rah ke pakke hain hum musafir bhi
milen na manzilen rasta nahin badalte hum
kisi kner ke phulon se surKH honTh us ke
gulon se aaj bhi rishta nahin badalte hum
tamam shaklen hamein ek jaisi lagti hain
kisi ke waste chashma nahin badalte hum
kaTa-phaTa hi sahi hai ye pairahan sach ka
nae libas se kapDa nahin badalte hum
ye gul-mohar ki hain shaKHen kisi ki yaad liye
kisi ki yaad ka chehra nahin badalte hum
kabhi yahin pe hi aa kar wo baiTh jati thi
isi liye to ye kamra nahin badalte hum

Ghazal
Koi ghazal ho ye lahja nahin badalte hum
Sudesh Kumar Mehr