اردو हिंदी
Koi ghamgin koi KHush ho kar sada deta raha | Shaahi Shayari
koi ghamgin koi KHush ho kar sada deta raha

Ghazal

Koi ghamgin koi KHush ho kar sada deta raha

Hasan Najmi Sikandarpuri

;

koi ghamgin koi KHush ho kar sada deta raha
raat shahr-e-dil ka har manzar sada deta raha

sangsari ki saza Thahri thi jin ke waste
un ko pahle hi se har patthar sada deta raha

mere karb-e-tishnagi par raat shishe ro paDe
KHushk honTon ko mere saghar sada deta raha

nashsha-e-sahra-nawardi mein tujhe kab hosh tha
tujh ko shahr-e-gul ka ek ek ghar sada deta raha

kho gai jab aankh 'najmi' yaad aaya KHwab mein
hum ko shayad ek pari-paikar sada deta raha