koi ehsas mukammal nahin rahne deta
dard ka sath musalsal nahin rahne deta
hosh ki sard nigahon se take jata hai
kaun hai jo mujhe pagal nahin rahne deta
waqt tufan-e-bala-KHez ke gardab mein hai
sar pe mere mera aanchal nahin rahne deta
hath phailaun to chhu leta hai jhonke ki tarah
ek pal bhi mujhe be-kal nahin rahne deta
KHwab ke taq pe rakkhi hain ye aankhen kab se
wo meri nind mukammal nahin rahne deta
mere is shahr mein ek aaina aisa hai ki jo
mujh ko us shaKHs se ojhal nahin rahne deta
Ghazal
Koi ehsas mukammal nahin rahne deta
Ambarin Salahuddin