koi dushman koi hamdam bhi nahin sath apne
tu nahin hai to do-alam bhi nahin sath apne
sath kuchh dur tere hum bhi gae the lekin
ab kahan jaen ki KHud hum bhi nahin sath apne
wo bhi ek waqt tak KHurshid-ba-kaf phirte the
ye bhi ek waqt hai shabnam bhi nahin sath apne
naKHun-e-waqt ne kab zaKHm ko dahkaya hai
aise ek waqt ki marham bhi nahin sath apne
samne kitni saliben hain pae be-gunahi
aaj laKHt-e-dil-e-maryam bhi nahin sath apne
pi ke socha ki KHaridenge gham-e-duniya bhi
tai hue dam to dirham bhi nahin sath apne
Ghazal
Koi dushman koi hamdam bhi nahin sath apne
Sulaiman Areeb