koi dua hai ya phir bad-dua hai mere liye
ye kaun pichhle pahar ro raha hai mere liye
main mo'tarif hun bahar-haal us ki chahat ka
jo tark-e-duniya kiye ja raha hai mere liye
panah ab kisi bhi jaan mein le liya jae
ki aasman na zamin kuchh bacha hai mere liye
main chah ke bhi juda is se ho nahin sakta
ajib bebasi ki intiha hai mere liye
samajh na paya use main na wo mujhe 'rizwan'
ye koi wahima ya hadisa hai mere liye
Ghazal
Koi dua hai ya phir bad-dua hai mere liye
Khan Rizwan