اردو हिंदी
Koi diya kisi chaukhaT pe ab na jalne ka | Shaahi Shayari
koi diya kisi chaukhaT pe ab na jalne ka

Ghazal

Koi diya kisi chaukhaT pe ab na jalne ka

Suleman Khumar

;

koi diya kisi chaukhaT pe ab na jalne ka
siyah raat ka manzar nahin badalne ka

wo rut badal gai sab se qarib rahne ki
zamana KHatm hua sab ke sath chalne ka

lo apne jurm ka iqrar kar rahe hain hum
hunar na aaya hamein baat ko badalne ka

kise hai aarzu tanhaiyon mein jalne ki
kise hai shauq kisi ke liye pighalne ka

ye chahaton ka bhanwar hai siwae maut 'KHumar'
nahin hai rasta bahar koi nikalne ka