koi din hoga ki haare hue lauT aaenge hum
teri galiyon se gae bhi to kahan jaenge hum
aansuon ka to takalluf hi kiya aankhon ne
KHun ke ghunT se kya shauq na farmaenge hum
zindagi pahle hi jine ki tarah kab ji hai
ab tere nam pe marne ki saza paenge hum
kab tak ai ahd-e-karam bandhne wale kab tak
dil ko samjhaenge bahlaenge phuslange hum
aah se arsh-e-mualla ko na larza denge
tu samajhta hai qayamat hi faqat Dhaenge hum
lakh murtad sahi be-din nahin hain waiz
but nae hain to KHuda kya na naya laenge hum
jawedani ka tasawwur mein bhi aaya na KHayal
hum samajhte the tere ishq mein mar jaenge hum
bas ab ai dil ki qasam khai hai us zalim ne
jo taDapta hai use aur bhi taDpaenge hum
dur tujh se to qaza bhi nahin le jaegi
sar bhi aaKHir teri diwar se Takraenge hum
bhulta hi nahin hum ko wo sitamgar 'rahil'
KHak use yaad na karne ki qasam khaenge hum

Ghazal
Koi din hoga ki haare hue lauT aaenge hum
Raheel Farooq