koi dil to nahin hai ki Thahar jaega
waqt ek KHwab-e-rawan hai so guzar jaega
har guzarte hue lamhe se yahi KHauf raha
hasraton se mere daman ko ye bhar jaega
shiddat-e-gham se mila zist ko mafhum naya
hum samajhte the ki dil jine se bhar jaega
chand lamhon ki rifaqat hi ghanimat hai ki phir
chand lamhon mein ye shiraaza bikhar jaega
apni yaadon ko sameTenge bichhaDne wale
kise malum hai phir kaun kidhar jaega
yaaden rah jaengi aur yaaden bhi aisi jin ka
zahr aankhon se rag-o-pai mein utar jaega

Ghazal
Koi dil to nahin hai ki Thahar jaega
Mushfiq Khwaja