اردو हिंदी
Koi darpesh jab safar aaya | Shaahi Shayari
koi darpesh jab safar aaya

Ghazal

Koi darpesh jab safar aaya

Khalid Mahmood Amar

;

koi darpesh jab safar aaya
tera chehra bhi baam par aaya

lag ke chilman se jhankna bahar
yaad wo adh-khula sa dar aaya

mere sayyaad ko bhi hairat hai
kyun na main bhi lahu mein tar aaya

dekh sare jahan ko Thukra kar
tera diwana tere ghar aaya

tere dar se shifa mile sab ko
ek 'umar' hi shikasta-tar aaya