koi daraKHt koi saeban rahe na rahe
buzurg zinda rahen aasman rahe na rahe
koi to dega sada harf-e-haq ki duniya mein
hamare munh mein hamari zaban rahe na rahe
hamein to paDhna hai maidan-e-jang mein bhi namaz
muazzinon ke labon par azan rahe na rahe
hamein to laDna hai duniya mein zalimon ke KHilaf
qalam rahe koi tir-o-kaman rahe na rahe
ye eqtidar ke bhuke ye rishwaton ke wazir
bala se un ka ye hindostan rahe na rahe
KHuda karega samundar mein rahnumai bhi
ye naw baqi rahe baadban rahe na rahe
Ghazal
Koi daraKHt koi saeban rahe na rahe
Raees Ansari