koi dam bhi main kab andar raha hun
liye hain sans aur bahar raha hun
dhuen mein sans hain sanson mein pal hain
main raushan-dan tak bas mar raha hun
fana har dam mujhe ginti rahi hai
main ek dam ka tha aur din bhar raha hun
zara ek sans roka to laga yun
ki itni der apne ghar raha hun
ba-juz apne mayassar hai mujhe kya
so KHud se apni jeben bhar raha hun
hamesha zaKHm pahunche hain mujhi ko
hamesha main pas-e-lashkar raha hun
liTa de nind ke bistar pe ai raat
main din bhar apni palkon par raha hun
Ghazal
Koi dam bhi main kab andar raha hun
Jaun Eliya