koi bhi shaKHs na hangama-e-makan mein mila
har ek jalte hue gham ke saeban mein mila
koi na zehn mein surat na koi KHaka hai
wo mujh se jab bhi mila malgaje dhuan mein mila
bayan karne pe aaun to lafz TuTte hain
wo ek aks jo bujhte hue saman mein mila
wo shai ki jis ne dhuan dil mein mere phailaya
nishan us ka na kuchh dur tak dhuan mein mila
safar tamam hua itni KHush-KHirami se
tanaw bhi nahin kashti ke baadban mein mila
zara ye soch haqiqat bana to kya hoga
wo shaiba jo mujhe sarhad-e-guman mein mila
suna hai har ghaDi tu muskuraata rahta hai
mujhe bhi jazb zara kar ke jism-o-jaan mein mila
Thahar sakega na har shaKHs zad pe socha nahin
wo tir chal gaya jo waqt ki kaman mein mila
jo mujh pe match kare mera apna kahlae
libas aisa na mujh ko saji dukan mein mila
Ghazal
Koi bhi shaKHs na hangama-e-makan mein mila
Farooq Shafaq